Zindagi

image

Mai Zindagi bhar ye sochta raha ki wo log pataa nahi kaise hote hai Jo apne gharwalo ko chhod dete hai..Jo bhul jaate hai unke diye pyaar ko, aur alag rehne lag jaate hai…Main toh kabhi nahi karunga aisa..Hum toh humesha saath rahenge, Chahe kuch bhi ho…

Par zindagi apki har ek soch badal deti hain. Jaise jaise aap bade hote hai, Aapke saath aisi ghatnaye ghategi ki aap sochne pe majboor ho jayenge..Tab apko sirf ek hi raasta nazar aayega, “Apne maa baap, apne bhai behan se door ho jana….”

Aap samajh jayenge ki Zindagi ke samandar me shaanti ke liye apko apni puraani kasti chhod, ek nayi kasti dhundhni hogi. Ek naye sire se zindagi jeeni hogi..Apno ko bhulna padega..Jinke bina raha nahi jata unke bina rehna seekhna hoga…Saayad yahi niyam hai, Sayad yahi kismat hain.

“You have to let go, the things you love the most…”

Jo apke maa baap ke sath hua, ek din aapke saath bhi hoga. Sayad tab ap samajh paye uss waqt unki paristhitiya kaisi thi.

Ye Zindagi apko har pal sikha rahi hai..Har lamhe, har haadsha apke ateet se juda hua ek panna hai.. Ap un haadsho pe kya react karte hai wahi apki kismat tay karega…

About Sujit Yadav

Sujit Yadav is a tech savvy who loves to explore about new technology. he is also passionate about Animation and Game development. He loves to write poems and loves to draw. he is a learner of life who loves travelling, meeting new people and Ddancing.

Posted on August 22, 2015, in My Diary. Bookmark the permalink. Leave a comment.

Leave a comment